NAME :HS HUSSNAIN
7 YEARS BLIND LOVE KA ANJAAM
INTRODUCATION :
Aj JO Main Ap ko Story Sunany Ja Raha Mari Khud Ki ki Ha Mera Name Hussnain Ha Main City Kasur Sa Ho Main Na Life Main Kabi Khushi Nai Dekhi Ager Khushiya nai Dekhi Khushiya KIya Hoti Shyad Mujy Pata Nai Ya Mari Qasmat Main Nai Bachpan Sa Ly Ka Ab Tak Main 26 years ka ho gaya ho ager mari life main kabi bholi howii khushii aa b jatii wo b chand din ki mehmaan hoti shyad suna har parshanii ka baad saakon milta zayda sa zayda insan ki umer 50 years ki ha us ka baad bouns ha insan ki life lkn main na to apni apni abi tak 26 years kii aj tak parshaniya dekhii khushiya to jasy marii qismat ka hisa he nai Kahty Ha Insan ka dil roo ka halka ho jata lkn hum larky roo b nai sakty kuky humary oper ghar ki zimdariya hoti ager koi routa b ha to raat koo routa saab ka samny fake samile ka sath milty itna bara dill y ka or akly raat ko routy ha kabi kabi rouya b nai jata asy lagta eyes main ansuu khatam ho gaye dil bharii hoo jata phair kuch acha nai lagtahar cheez kii ak qemat hoti baymeeni lagti har cheez kuch b acha nai lagta.Bas itna he apko introducation karwana chahoo ga ab hum story kii tarf chalty kasy mari life barbbad howi mohbat main or is mohbat na koi asa ghar jo is na nai ujahraa ab story ki tarf chalty ha shyad apko mari story soun ka kuch sabaq mil jaye ap apni life ko behtar bana lo.
STORY:
Dostoo Chalo Main Apko Batata Ho is Mohbat Na Mujy kasy Barbaad Kiya Or kis Kis Tarha Main Na imthan Diya Kiya Kiya Kiyaaa Lkn mujy kiyA mila Kuch Nai AKhar Main Khali Hath He Rah Gaya Phair B Kuch Nai Raha JO Apna Tha Sab Kuch Gawa Diya Mari MOhbat NA Mujy Kisi Like Nai Chora Sab kuch Chahn Liya Mazaq Ban Ka Rah Gaya payar Andha Hota souna tha logo sa ab jab khud pa time aya to pata chala log theakh kahty jinpy guzra hota waqt unhy pata hota kasy takleef hotiii jab muj pa asa time guzara mujy tab unka ahsas howa kitna azeeyat wala lamha hota insane apny aspy jang lar raha hota ha na kisii ko batata na kuch akla rehna pasand karta bas koi jo kuch marzi kahy usy koi faraq nai parta kuky hum jasoo ka dil pathar sa ban jata is liye kuky humy izeyat main rehna pasand hota bas andhehra pasnad lagtaa shoorr bilkul b acha nai lagta kuch time asa guzrata ka na kahna pata kahna ha ya nai na peena har time ak ak mint ak ak sec izeyat detaa dil karta ka hum is sa acha mar jaye kasi life ho gai humari is sa acha to dosri duniya main sakoon haa baa dafa hum phair souvhty hai.
akly bethy kuky galt kahyalat atty mind main sucide ka plane karty ka hum jaldi jaldi is duniya sa chaly jaye yaha both bury log rehty is sa acha hum sucide kar ka is duniya ko khairbaad kah da lkn dosrii tarf khyal atta maa baap pa kiya guzary gi wo kasy ye izeyat wala lamha sahy gaye kuch to kuch nai souchty bas wo jazbaat main aa ka kar b laty phair unkii dosri duniya kii life kahrab hoo jatii ghar waloo ki to hotii hee ha khudkhushii to haram ha humy ha haal main halat ka samna karna chahye larna chahye himat nai harni chaye har time bas iska samna karna chahye yahii to life ha jo data ka muqbala karta wo kabi nai harta beshak log jeet b jaye jhoth ka sahra ly ka lkn akhair main jeet sirf humari hoti mohbaat main nakmii bilkul ha Manta ho kuch logo ko mohbat mil jatii hum kahty ha ka wo boht khush naseeb ha ye wo lkn hum ye nai souchty ka wo hmary haq main nai tha humary liye bahtreen sa be bahtreen mentahab kiya gaya ha us waqat ka intazaar karna cahye insane ko kuky waqat sa saab kuch milta hum zabardsatii b kisii ko chahn sakty ha lkn kabi dil main jagha nai ban paye gaye is liye jo apko chor kar jaye usy maaf kar doo or waqat par chor do.
waqat khud us sa badla ly gaa kuky waqat ki lathii beawaz hoti jab lagtii phair pata chalta hum na kiya kohya kiya paya phair ahsaas hota wahii tha jo mujy muj sa zayda payar karta tha main na ukii qadar nai kii usy izat nai di usko samjha nai usky payar ki qadar nai kii payar hota he humesha ak tarfa haa or ye kabi nai milta marii nazra main sirf 10% log hoty jinko milta ha or 10%hoty wo jo bhagh jaty apny payar ka liye shadi kar lety lkn kuch ka ghar waly unhy qabool lety kuch ka zinda maar dety 5% log asy hoty jo reshta bhjty ha ghar lkn unky ghar waly nai manty kabi 2% maan b jaty ha phair unkii shadii hon jatii history utha ka dekh ly mohbat na insan ko nai chora barbaad kiya humesha faqreer bana dati haa kasi a like nai rehy datii insan khudgaraz ban jata sachii.
mohbat insan ko nai miltii kabii 80%logo ka hath main humesha rouna zilat ruswaii atti boht c larkiya or boht sa larky asy ha jo muklis ha lkn is mohbat na asa bana diya wo shadi karna he nai chaty kuky unhy waqat na asa bana diya ka bas wo apny sath khush rehty ha logo kii nazar main wo pagal or bewaqoof hoty lkn wo log kiya jany jinko mohbat ka A to Z b nai pata unko bas hasna atta bas humy dekh ka hasty ha bas or koi kaam nai unkoo lkn humara dehan unki tarf nai hota hum nakam log apny apsy rehty.
kisii sa koi faraq nai parta humy Ab main apko batata mary sath is zandgai na kiya kiyaa main na kisi sa intna payar mohbat ishq sa bhar ka kiya mary pass alfaz nai warna apko batata ager payar mohbat ishq sa bhar ka koi naam hota to apko name batata asa blind love kiya apna saab kuch qurbaan kiyaa koi asi cheez hoo jo main na apny pass rakhii hook uh b nai raha mery pass na dolat na shohart naam ka kuch b nai reha is wajha sa bilkul faqeer kah loo asa bana diya mujy is blind love na ka mari duniya he jaisy wo thi uskii usky ilawa mujy kuch chahaye he nai tha bas har qemat pa mujy wo chhaye thii bas saab kuch qurban kar liya total 7 years ho gaye 5 years baad uskii jan main shadi howi thi mujy baad main pata chala jab hoo gai mujy usny kuch batya he nai main na aj tak uskii aka k cheez sabhal ka rakhii howii haa uski awaz voice masseges pics wagera saab kuch main ak gareeb ghar ka larka tha wo mari life main aii allah na mujy itna diya apko kiya bataoo khud ka business ho gya one month main one lacs 2 lacs kamta tha paisy asy jaisy mera ashiq ho gaya kuky mari ak baat thi jitna atta tha main bantii jata tha bas itna ameer ho gaya kuch month main apko kiya bataoo itna mera paisy kii wajha sa relationship bana saab mary sath sirf matlb kii haad tak thy bas mari mohbat b or log b wo abi apny face sa boltii thii cheez ka naam usii time usy avail kar deta tha itna payar karta main us sa hum fb pa mily thy sirf hum ak dosry kii pics likes karty thy or comment main baat karty thy asy baat katy karty taqreban 2 years ho gaye phair 2 years baad hum inbox main chaly gaye messages pa baat start kar di us na mujy bataya main na kisii sa payar kiya usny mujy chor diya main usy samjhta tha yaar kuch nai hota.
humary liye us zaat na behtareen likha wo mily ga humy meyousii karna kofar haa asy nai kahty uska kahyal rakhty rakhty mujy us sa mohbat ho gai phair main na usy purpose kar diya us na mujy accept kar liya phair wo mera boht khyal rakhtii thii hum sari raat taqreban baat karty thy kaam ka time wo mujy khud kahtii thii ka ap kaam kary phair hum kuch bany gaye na main itna kaam karta tha phair main 8000 kamny wala insane lacs + kamna start ho gaya boht mehnat kii asy rooz humari baat hotii thii itni itnii lambii apko kasy batao wo jab bemaar hotii thii mujy ajeeb sa feel hony lag jata tha kuky main har time usky bary main souchta rehta tha is liye mujy feel ho jata thaw o bemaar ha lkn wo mujy kahtii thii main bilkul theakh ho 19/12/2020 itna manhoos day tha mari zandgii jaisy barbaadii wala din main suba suba hasta howa utha mera aditt hotii ka main sab sa phly apna phone check karta tha jab main na apna phone pakra to usny sweet or engagement ka status lagya main iitna roya saab sa phly phair main na itnii zayda goliya kahiii ka phair mujy nai pata kaha para howa 4 din baad main utha mery ghar waly boht parshan ho gya iskoo achnaq kiya ho gaya 3 din mari shop band rahii saab dosto kahty asy pata nai kiya ho gaya 4 din baad main jab thora sa theakh howa to shop pa gaya to mera waha dil nai lagna start ho gaya.
kaam main b or kisii cheez main b nai lagta tha koi customer atta to koi odhar kar ka jata to main bhool jata tha medicine kahnii start kar diii sirf ak insan sa tab baat share ki bas us na mujy boht samjhya asy na karoo ye woo lkn main na medicine kahii hoti thii mujy nai pata hota tha kiya kar raha kiya samjh raha hoo dimag asy jasy soon rehta tha har time taqreban main na one years rooz tablet lii kabi koi kabii koi lkn mujy aj tak kisii cheez sa sakoon nai mila ahsta main na lose start kar diya shop main jo main na itnii mehnat sa banaii thii jab wo nai rahiii to main sochta tha main na ye sab cheezy kiya karnii paisy wagera log jhoth kahty paisy sa har cheez miltii paisy sa payar nai milta na sakoon milta na paisa aapkii neeend kahreed sakta asy mari shop chalii gaii main na again phair start kii us main b lose ho gya phair main ghar bbath gaya kuky kuch nai raha mery pass saab kuch gava diya as yak din suba utha to call aii ak project ha flood area main jana main ready ho gaya samaan pack kiya or chala gya 2 din mujy lagye waha jany main jab main waha pohncha to filed main jab gaya to asy halat thy ka apko kiya bataoo logo ka pass na ghar na kahny ko kuch na peany ko kuch mari eyes sa ansoo tab aye jo ruky howy thy phair mujy pata chala ahsas howa duniya main muj sa b zyada log izzeyat walii zandgii guzaar rahy phair main na waha har ak ka ghar likha koshesh yahii hotii thi Allah na neak kam ka liye mujy chuna ha koi rah na jaye sab ka ghar likhy jab unky ghar likhta tha alag sa sakoon milta tha jab usky chahry pa khushii kii lehar hotii alag sa sakoon milta tha shyad jasy muj is sakoon ki talash thi phair jaa ka main 2 years baad normal howa lkn mary pass is mohbat kii wajha sa kuch nai raha ab main as a freelance kaam kar ka thora boht earn kar raha kabi kamata ho kabi nai lkn Allah madad karny waloo ka sath ha inshaAllah main boht jald Again apny paoo pa kahra ho jaoo ga Or asy insan sa Shadi karoo ga jo sirf muj sa mohbat kary bas main he us ka liye saab kuch ho bas main .
Blind love Hs HUssnain …………
The End